Friday, 1 August 2014

NARMADA KE GHAAT PE…

NARMADA KE GHAAT PE…

Log aksar is talash me rehte hai ki man ki shaanti kahan par milti hai jagah jagah jate hai aur aaj kal to ek naya culture aaya hai log rozmarra ke tanav se chuttkara pane ke liye shopping ka sahara lete hai aur mols me jakar khoob kharcha karte hai,pichle dino mujhe hoshangabaad jane ka mouka  mila aur shayad kismet ka dhani tha isiliye ma narmade ke darshan karne ka soubhagaya mila jahan par darshan ke saath saath nadi me nahane ka bhi mouka mil gaya.nahaane par man ko itni shaanti mili ki shayad shaabdoo me bayan arna bemaani hogi ye bas ek ehsaas tha jo sirf mehsoos kia jaa sakta hai isiliye shaadon me ise bayan karna naa mumkin hai.hoshangabaad ke prasiddh sethani ghat par jaane par wahan ki bhavyata ke darshan hue beahad hi bada ghat aur aaspass kaafi saare chote bade alag alag devi  devtaaon ke mandir aur saamne kal kal karke behti hui narmada nadi.us ghat par snaan karne walon ki bahut bheed thi  desh Pradesh ke alag alag hisson se aaye hue log apni har dopki me me alag alag mantra aur pratthnaye kar rahe the shayad koi pariwar ke liye sukh samraddhi to koi  aachhi noukari,jitney log utni hi alag alag prarthnayen ye bhi  logon ki aastha ka prateek tha jo mujhe wahan par dekhne ko mila ,auron ki tarah mene bhi wahan par narmada nadi me snan karke punya labh kamaya .snan karne ke baad jab toda safar aage bada to bhartiye sangeet ki kalaa ka ek anootha rang dekhne ko mila mandir ke ek kone me kuch logon ka ek gut betha tha aur rozmaraa ki cheejon se banaya hue instruments  se behad aatmiyeta se bhajan gaa rahe the jise sunkar wahan par kuch pal rukne ka man ho gaya deere deere wahan baith kar us bhajan ko sunana behad sukoon de raha tha.shayad ye ehsaas bahut kismet waloon ko milta hai shayad me us din sach me kismat wala tha,wo ek baat yaad aa gaye kehte hai na ki dhoondo tho bagwaan nahi milte aur dil se maano to kand kand me bhagwaan  hai .