NARMADA
KE GHAAT PE…
Log aksar
is talash me rehte hai ki man ki shaanti kahan par milti hai jagah jagah jate
hai aur aaj kal to ek naya culture aaya hai log rozmarra ke tanav se chuttkara
pane ke liye shopping ka sahara lete hai aur mols me jakar khoob kharcha karte
hai,pichle dino mujhe hoshangabaad jane ka mouka mila aur shayad kismet ka dhani tha isiliye ma
narmade ke darshan karne ka soubhagaya mila jahan par darshan ke saath saath
nadi me nahane ka bhi mouka mil gaya.nahaane par man ko itni shaanti mili ki
shayad shaabdoo me bayan arna bemaani hogi ye bas ek ehsaas tha jo sirf mehsoos
kia jaa sakta hai isiliye shaadon me ise bayan karna naa mumkin
hai.hoshangabaad ke prasiddh sethani ghat par jaane par wahan ki bhavyata ke
darshan hue beahad hi bada ghat aur aaspass kaafi saare chote bade alag alag
devi devtaaon ke mandir aur saamne kal
kal karke behti hui narmada nadi.us ghat par snaan karne walon ki bahut bheed
thi desh Pradesh ke alag alag hisson se
aaye hue log apni har dopki me me alag alag mantra aur pratthnaye kar rahe the
shayad koi pariwar ke liye sukh samraddhi to koi aachhi noukari,jitney log utni hi alag alag
prarthnayen ye bhi logon ki aastha ka
prateek tha jo mujhe wahan par dekhne ko mila ,auron ki tarah mene bhi wahan
par narmada nadi me snan karke punya labh kamaya .snan karne ke baad jab toda
safar aage bada to bhartiye sangeet ki kalaa ka ek anootha rang dekhne ko mila mandir
ke ek kone me kuch logon ka ek gut betha tha aur rozmaraa ki cheejon se banaya
hue instruments se behad aatmiyeta se bhajan
gaa rahe the jise sunkar wahan par kuch pal rukne ka man ho gaya deere deere
wahan baith kar us bhajan ko sunana behad sukoon de raha tha.shayad ye ehsaas
bahut kismet waloon ko milta hai shayad me us din sach me kismat wala tha,wo ek
baat yaad aa gaye kehte hai na ki dhoondo tho bagwaan nahi milte aur dil se
maano to kand kand me bhagwaan hai .
No comments:
Post a Comment