Friday 18 July 2014

A SEARCH FOR A HARBINGER


A SEARCH
                 FOR
       A HARBINGER

Imagine, you when wake up a morning and you find that, due to the strike or negligence of sanitary employees a lot of dump and garbage is collected around your colony and your house, now what will you do, there are two  options one you start shouting on the systems fault and negligible behavior of the staff like other people of your colony, option two or in a different way you initiate a step and try to find some way for cleaning that garbage and present the example of a change.
Now in the above situation the ball is in your court what option you would like to choose, which way you would like to go, that choice of path always defines your attitude and decides the difference between your success and failure.
Most of us have traveled by bus or train; at the ticket window people break the queue, this manner less and irresponsible behavior creates a big mess over there; what will you do Usually we see most of the times people starting shouting and blaming on the system or government for the miss arrangements of their surroundings but who is responsible for this, who is breaking the queue? My dears instead of doing all such kind of foolish thing just take one step ahead and surely your one step for making positive changes can make very big changes.
Like in present era we all are suffering from a common problem. “Corruption” seriously it is a very big problem. It has wide spread its legs at each and every place and level whether it would be a small or big one or lower or upper one .you can find it everywhere, whether it is a case of admission to school or college level or in the case of retirement fund of an old age person, corruption is present at each and every level and we all are suffering from this problem, really I am also agree with this as a part of this society and I also face this problem at various places and levels too., But friends from where this problem originate? Who is the cause and creator that gives birth to this problem??? The answer of this is very simple you need not to find out it in any book, any dictionary or need not to search it on internet or Google, you just need  to ask yourself that weather (aren’t you?) the reason behind the birth  and growth of this problem.
If you do not agree with my points of arguments take a look here I am going to give you one more example of a situation, you need a driving license according to procedure you should go to R.T.O office with an application form, appear for a driving test after clearing these steps you will get your license and these steps will take some days or may be a month for neglecting this procedure and for the sake of your own convinces most of us didn’t follow the legal procedure and take the help of unauthorized agents by just paying them some extra amount apart from fees and you get your license in your hands at your home.
With this we feel very happy and with great pleasure we say that “extra charge” as the charge of “convenience”. the habit of taking this “convenience” by paying some extra charge give rise to corruption, it rises from very small level but slowly it may become a very big serious problem, and one day when it comes in the form of scam or scandal in front of us, we use to say the common sentence and words by blaming the system and the persons related to those scams and scandals by forgetting that you, me or we peoples are also responsible in equal manner for that because somewhere at some level we irrigate that plant of corruption by small or big amount.
And this record of blaming yet not get stopped we always rely on someone for the solution of any problem, use to say “someone should do something to solve this problem” or “why someone has not do something” or “someone has do something” have you notice one thing,the above three sentence have a word “someone” so who is this “someone” for whom we are waiting  for? We always wait for the super person or superman kind of person who will come from mars and solve our problem within a second.
Please please please try to understand and always remember if these are our problems then we have to try to solve it because somewhere we are responsible for the origin of these problems whether it is a problem related to garbage collected in your colony, breaking the queue at public places or the roots of corruption in the system so if there is problem then only we have to solve the problem. and for finding the easiest way to solve any problem is just to change the way of your thinking so get ready my friends and it’s better to say “I must do something” instead of saying “something must be done”


Wednesday 16 July 2014

BUDGET SHRIMATI JI KA………………….

budget shrimati ji ka………………….

Aaj budget pesh hone wala tha, HUMARI shrimati ji ne chehkte hue bola ki aaj budget pesh hone wala hai to kyon na hum dono sath me baith kar dekhenge. humne kaha hume kya khaas milega, to unhone badi hi chaturta se kaha, ki budget ki ghoshnao me jo bhi rahat milegi to fayada aapko bhi to milega aur agar kisi cheej ki kimaten kam jyada hui to humari taraf se bhi aapko fayada MILEGA,to hum bhi unki in ras bhari baaton me aakar wahan unke sath T.V ke saamne baith gaye.
JYON HI  SARKAR NE IS SAAL KA BUDGET PESH KIA ,WAISE HI SHRIMATI JI NE GHAR ME APNA BUJJAT PESH KAR DIA, JAISE JAISE FINANCE MANTRI GOSHNAYE KARTE JA RAHE THE SHRIMATI JI KI BHI GOSHNAYE HONE LAGI, BUDGET ME COSMETICS ITEMS KO MENHGA KIA GAYA TO SHRIMATI JI NE PEHLA ADHYADESH PAARIT KAR DIA KIA KI GHAR ME SAJNE SAVARNE KI CHEEJE KUM KI JAYEN INPAR BHI KHARCH KAM KIA JAYEGA, HUME YE SUNKAR BEHAAD KUSHI hui AASHA KI ek KIRAN DIKHAI DI KI SHAYAD YE BUDGET humare LIYE KHUSHI LEKAR AYEGA ,PAR JYADA DER YE KUSHI NAHI REH PAYi KYONKI SABSE PEHLE SHRIMATI JI NE HUMARI HI AISI TAISE KARI AADESH AAYA AB SE SHAVE KARNE KE LIYE SHAVING CREAM KA UPYOG NAHI KIA JAYEGA, SIRF   PANI KA UPYOG KAR SHAVE KIA JAYE,KYONKI PURSHOON KI SKIN KO CREAM KI JARRORAT KAM HOTI HAI TO UPYOG BHI KAM HONA CHAHIYE ,ISI LIYE AALAG SE MANS CREAM AND BODY LOTION PAR KHARCH BAND KIA JAYE in sab par pehla or sirf adhikar hum mahilaon ka hai ITNA .ye SAB SUNKAR HUMNE KAHA AB BAS BHI KIJIYE AAGE KA BUDGET BHASHAN BHI TO DEKHNE DIJIYE.
 SARKAR KE FINANCE MANTRI NE AAGE KA BUDGET PADNA SHURU KIA AGLI BEHAD AACHI GOSHNA THI KI jise sunkar hum behad kush hue, goshna thi ki AAB TAX PAY KARNE KI yearly income LIMIT BADA DI GAYE HAI AUR TAX KI DARON  ME BHI KAMI AA GAYE HAI TO FIR KYA THA SHRIMATI JI NE FATAFAT CALCULATOR CHALAYA AUR NAYE RIYAYTI DARON KE AANUSAR HUMARI salary PAR LAGNE  WALA TAX CALCULATE KAR DIA AUR EK KUSHAL Charted accountant KI TARAH HUME YE AWGAT KARAYA KI AB SE HUMARI APPROX 5000 SE 7000 TAK KI BACHAT HOGI HUME YE DEKHKAR KUSHI HUI KI HUMARI SHRIMATI JI HUMARA KITNA KHAYAL HAI PAR YE HUMARI BHOOL THI ABHI ATOM BOMB GIRNA  BAKI THA JO AB HUMARE UPAR GIRA AUR shrimati ji jo ki humari ghar ki homeminister/finance minister thi ki or se NAYA ADHYADESH LAGOO KARNE KI GOSHNA KI GAYE JO SIRF HUM PAR LAAGOO HONA THA JISME SAAF SAMJHAYA KUM DHAMKaya GAYa KI YE in bachat ke pasion ki or meri galati se bhi nazar na jaye,ye PAISA UNKE MAYKE FUND ME JAYEGA KYONKI HUMARE SASURAL ME KISI DOOR KE RISHTEDAAR KE YAAHAAN SHAADI HAI TO HUMARI SHRIMATI JI KO BANARASI SAaDI PEHNNI HAI AUR NECKLESS BHI CHAHIYE TaAKI SHAADI ME WO SABI KO DHIKHaKAR JALaA SAAKE, HUME TO BAS EK HI AASHA KI KIRAN DIKHAI DI THI,ki SHAYAD BUDGET KI IS RIYAYAT BHARI GHOSNA KE SATH HUME HAMARE HOME MINISTER SE KUCH RAHAT MILEGI PAR UNHONE SAARI AASHAON PAR  PANI PHER DIA. ITNA SAB HONE KE BAAD HUMSE AAGE KA BUDGET NAHI SUNA JAYEGA, DIL ME GHABRAAHAT HONE LAGI KI AGAR PEHLI DO GOSHNAYE ITNA BHUCHAAL LA SAKTE HAI TO PATA nahi AAGE KI GOSHNAYE KYA KAR DENGI. JYON HI HUM RANBHOOMI CHOD KAR JAANE LAGE TO SHRIMATI JI NE WARNING KE ROOP ME poocha KAHAN JAA RAHE HAI AAP? ABHI TO BUDGET BAKI HAI TO HUMNE KAHA KI THODI DER ME AATE HAI TO UNHONE KAHA AAGE PETROL KI KIMATON KA ELAN HONE WALA HAI denkhe to is baar kimat badti hai ya ghatti hai kher fark to kuch nahi padega log gaadi chalana to chodenge nahi, WAISE AAP KO bhi APNI SEHAT KA DHYAN RAKHNA CHAHIYE HUM KUCH AASCHARYACHAKIT HUYE KI AACHANAK YE HRADaYA PARIVARTAN KAISA ,PAR YE HUMARI BHOOL THI JO KUCH UTAVLA HOKAR HUM YE SAMAJH BAITHE AAGE UNHONE KAHA KI GADI KA UPYOG KAM KIJIYE AUR KAL SE SABJI LENE AAP PAIDAL HI JAYENGE.ye AAKHIRI WAR THA JO HUM PAR HUMARE HOME MINISTER NE KIA THA AUR BUDGET ME MILNE WALI SAARI RAHAT KO AAPNE ADYADESHO KE BHOJh TALE DABA KAR KUCHAL DIA THA.
WAAH RE BUDGET!!!


Thursday 10 July 2014

CHOTI CHOTI CHEEJ HI MILKAR KAL KUCH BADA BANATI HAI………………………….

CHOTI CHOTI CHEEJ HI MILKAR KAL KUCH BADA BANATI HAI………………………….


Chote chote kadam hi lambe faasle taye karne me madad karte hai agar wo chote chote kadam na badaye jaye to zindagi ke lambe safar ko poora kar pana aur apne lakshya tak pahunch pana asambhav hai.hindi me ek kahavat badi famous hai ki “boond boond se hi gada bharta hai”,dekhne me to pani ki ek boond gade ko bharne ke naam matra ka yogdan hai par yadi yahi ek-ek boond ekhatha ho jaye to gade ko bhi bhar sakti hai.theek isi tarah jiwan me bada banne ke liye chote chote kaamo ko bada samjhna shuru kariye kyonki agar aap  in chote kamo ko ehmiyat dekar poora karenge to nishchaye hi aapme sikhne ki lalak hamesha bani rahegi.jiwan me bada banne ke liye lagatar sikhne ka bada mahatva kisi ne khoob kaha hai “agar sikhna band to jeetna band” jaise agar koi student apni exam ki tayari ke doran kisi chapter ya topic ko sirf ye mankar chhod de ki ye itna importance nahi ya ye bahut hi chota topic hai ise itna importance dene ki jarrorat nhai to nischit hi wah jiwan me kuch bhi nahi seekh payega,aur wahi koi eesa student jo har choti choti jankari ko saman mahatav dekar aur upyogi manakar tayari Karen to nischit roop se us exam me hi nahi jiwan me bhi safal hoga.to aaj se hi chhote chhote kaamon ko nazar andaz na Karen unhe bhi saman mahatva dekar poora Karen aur kabhi bhi kisi kaam ko chota na samjhe kyonki “every small success of a day helps to get big success in life”.

Monday 7 July 2014

Zindagi sirf aur lene ka nahi dene ka naam bhi hai ………………………….!!!

Zindagi sirf aur lene ka nahi dene ka naam bhi hai ………………………….!!!
Shayad upar ke sheershak ko dhyan se pada jaye to lagta hai bahut hi sadharan si baat hai  isme kya khas hai har jagah jahan diwaron par soovichar likhe hote hai ,kisi newspaper ke kisi kone me , kisi kitab me kahin ya kahin dharmik pravachano me hum  sabhi ne is prakar ki line padi ya suni hui hai.par kya hum vakai is line ka bhavarth samajhkar use charitaarth kar paye hai,agar sachhe dil se ek baar poonche to shayad bahut kam hi aise milege jo kah payen ki haan ! mene ye kia hai.kai logon ke liye janam lena aur har roz ko sirf ek din ki tarah gujar dena aur un dino ko mahino me aur mahino ko saalo me ji lena hi jindagi ko jeena hai.kehte hai ki “apne dard par to janwar bhi ro leta hai jo auron ke dard par aankhe nam karen wo insaan hota hai,aksar hum samvedna heen vyavhar dekhte hai kai baar to hum khud, to kai baar humare hi is vyavhar se doosre aahat hote hai.hum aksar is baat ka to badi hi samajhdari se hisab kitab rakhte hai ki hume zindagi me kitni khushiya aur kitne gam mile,jyadtar gam se sambhandit shikayaton bhara hissa jyada hota hai aur milne wali khushiyon ko aksar bhool hi jate hai.
Aaj me aap sab ke sath ek choti aur sadharan si magar prabhavshali  kahani batne jaa raha hoon jo shayad aapke,mere aur naa jane hum jaise kai logon ka zindagi ke prati najariya hi badal kar rakh de………..
Ye kahani ek vyakti  ki dincharya ko bayan karti hai jo hum jaisa hi hai shiv ek nojawan ladka tha aur ek private company me engineer ki post par kaam karta tha,aachi noukari ke sath theek thhak salary bhi thi uski,aacha milansar nature hone ki wajah se sabhi ke usse aache hi relation the, wah roz subah 9 baje apne office ke liye nikalta tha aur office ki raaste me baithe ek bhikahrin ko jo apne 5 saal ke bĂȘte ko school bhejne ke liye wahan baithkar  par logon se madad mangti thi use kuch rupye deta tha,aur office pahunch kar apne kaam me lag jata tha.lunch time me office ke paas hi hotel me wah khana kahne jaya karta tha aur wahan par khana khate samaye roz wah apni 6 rootiyon me se ek roti ek kutte ko de diya karta tha jise dhekar hotel ka malik usse aksar samjata tha ki shiv babu kyon apne hisse ki rotiyan is kutte par barbaad karte ho ye kya fayada dega, ye sunkar aksar shiv sirf muskurakar kehta tha ki hum insaan to kama kar kha sakte hai par ye bejuban janwar ka khayal kon rakhega.shaam ko office se aate waqt shiv kuch foolon ka guldasta laana nahi bhoolta tha mrs. Sharma ke liye jo ek 75 varshiye bujurg mahila thi aur shiv ke pados me hi rehti thi,wo lakve se peedit thi aur theek se chal phir nahi pati thi bas ghar ke bahar wale kamre me leti rehti thi unke ghar walon ne bhi unke theek hone ki umeed chhod di thi.ye tino kaam shiv ki dincharya ka hissa ban chuke the aur isse poora karne me shiv ke kuch paise bhi kharch hote the.shiv ke dwara madad magne wali aurat ko paise,lunch time wale kutte ko roti ,aur bhujurg mahila mrs. Sharma ke guldaste me phool kabhi jayada aur kabhi kam ho jate the par wo bhoolta nahi tha.dhekhne wale log use aksar samjhate the ki tumhe sirf apne bare me sochna chahiye is sabka  koi fayada nahi bikharin ko diye jane wale paise kabhi uske bĂȘte ki padai me upyog nahi honge ,shiv ko sirf apna pet bharna chahiye kutte ki bhook ki chinta wo kyon karta hai,bujurg mrs.sharma ki chinta jab unke ghar ke log nahi karte to shiv kyon roz kuch phoolon ka guldasta dekar unke sath 5 min barbaad karta  hai  aur ye sab sunkar bhi shiv sirf muskura deta tha.
Halanki logon ki baat bhi to sach hi thi kyonki jin logon ke liye shiv ye sab kar raha tha wo naa hi shiv ko koi profit dene wale the aur naa hi us paise par koi interest laga kar wapas  karne wale.to kyon kar raha tha shiv ye sab kuch, ye sawal aksar logon ke man  me aata tha kuch log iska jawab ye maante the ki ye shiv ki bewakoofi hai.
Ye dincharya chalti rahi kai dino tak nirantar,ek din jab shiv roz ki tarah apne office ke raste me baithe madad magne wali aurat ko paise dene laga to paya ki aaj uska beta wahan uske sath nahi tha ye dekhar shiv chounk gaya tabhi achanakk usne dekha ki uska beta aaj school ki uniform me apne sapne ko poora karne ke liye tayar tha ye dekhar shiv ke chehre par bahut badi khushi ka bhaav tha.aur lunch time me hotel malik ne bataya ki pichli raat uske hotel me kuch chor gushne ki koshish kar rahe the par shiv ke kutte ne hi unhe bagaya tha aur wah kutta aab shiv ka roz intezar jo karta hai…
Shiv ke un kuch phollon wale guldaste aur do mithe bol bhi shayad kaam karne lage the kyon ki doctor ne kahan ki mrs.sharma ki sehat me teji se sudhar ho rha hai aur ab wah thoda thoda chalne bhi lagi hai,kabhi kabhi apne kamre se nikal kar colony ke garden me shaam ko tehlti hai aur iske liye mrs. Sharma shiv aur uske un phoolon ke guldaste ko thank you kehti hai .Aur ye sab badlav dekhkar shiv ke  aas pass ke log bhi achambhit the,aur shiv ke man me bhi ek santushti ka bhaav tha.
Is kahani ka mool arth ye nahi hai ki aap sirf paison se hi kisi ko kuch de sakte,ya kushiyan batane aur madad karne ke liye kisi gareeb aur besahara logon ko dodne ki jarrorat hai.aap bas khule dil kisi ke liye bhi aur kahin bhi chahe wo insaan ho ya janwar ya pedpodhe aap kuch aacha kar sakte hai.koshish jarrori nahi ki bahut badi ho wo bahut choti bhi ho sakti hai wo kehte hai na choti choti koshishen hi to bade kaam banati hai.
Zindagi se hume itna sab kuch mila hai bas jaarorat hai to isse dene ki aur aapne aas pass baatane ki ye dene ki aadat kahin se bhi shuru ho sakti hai chahe to apne ghar se hi Karen angrezi me ek kahawat famous hai “charity begins from home” aap apne ghar me hi ek poudha lagayen jab wo poudha kuch samye baad ped banega logon ko chhanv aur fal dega to yakeen maniye aap ko bhi ek santushti milegi. Agar aapke ghar me ya aas pass koi bujurg ho to unke sath yadi pyaar se baat karte hue 2 min bhi bitate hai to yakinan unke chehre par aapki baton se aane wali muskurahat aapke dil ko sukoon degi.
To bas aaj se hi lene ke sath sath dena bhi shuru kariye janab kyonki Zindagi sirf aur lene ka nahi dene ka naam bhi hai ………………………….