CHOTI
CHOTI CHEEJ HI MILKAR KAL KUCH BADA BANATI HAI………………………….
Chote chote kadam hi lambe faasle taye karne me madad karte
hai agar wo chote chote kadam na badaye jaye to zindagi ke lambe safar ko poora
kar pana aur apne lakshya tak pahunch pana asambhav hai.hindi me ek kahavat
badi famous hai ki “boond boond se hi gada bharta hai”,dekhne me to pani ki ek
boond gade ko bharne ke naam matra ka yogdan hai par yadi yahi ek-ek boond
ekhatha ho jaye to gade ko bhi bhar sakti hai.theek isi tarah jiwan me bada
banne ke liye chote chote kaamo ko bada samjhna shuru kariye kyonki agar
aap in chote kamo ko ehmiyat dekar poora
karenge to nishchaye hi aapme sikhne ki lalak hamesha bani rahegi.jiwan me bada
banne ke liye lagatar sikhne ka bada mahatva kisi ne khoob kaha hai “agar
sikhna band to jeetna band” jaise agar koi student apni exam ki tayari ke doran
kisi chapter ya topic ko sirf ye mankar chhod de ki ye itna importance nahi ya
ye bahut hi chota topic hai ise itna importance dene ki jarrorat nhai to
nischit hi wah jiwan me kuch bhi nahi seekh payega,aur wahi koi eesa student jo
har choti choti jankari ko saman mahatav dekar aur upyogi manakar tayari Karen
to nischit roop se us exam me hi nahi jiwan me bhi safal hoga.to aaj se hi
chhote chhote kaamon ko nazar andaz na Karen unhe bhi saman mahatva dekar poora
Karen aur kabhi bhi kisi kaam ko chota na samjhe kyonki “every small success of
a day helps to get big success in life”.
No comments:
Post a Comment